betha hai dekh aaj yaar bhi mehfil me talaash me
pyaasa tadpa jaaye bas paani ki aas me
me khud me gum hun ya gum hun tujhme
yehi to sawaal hai
aankhein teri hi har paheli ka jawaab hai
bheetar ghut ta aasmaan bhi baadalon ke jaal me
bin baarish vo bhi sukha fas raha hai jaal me
aaja mujh me mujh me tu hai
ek ek jaam dono pi lein
kal kar lenge kaam ki baatein
aaj bas dono jee lein
khamoshiyan behti rahi aankhon se chup chap
bas nazron me gum guzaar di puri raat
sama bandha hai, bheed jama hai phir bhi koi kyu nahi dikhta
agar tu bhi mehsoos karta hai to kyu nahi likhta
behne de aaj lafzon ko, aansu me ponch dunga
jaane ka samay aaega to me tujhe rok lunga
reh le kuch pal, sukoon to hai hi saath
par hamesha ki tarah reh gayi thodi si baat
chalo, next time. *runs away*