jwala

jo haala na jhalke to kya khaak peene vala

aur jo sabke saath ho le to kya khaak vo matvala

apna rasta khud bana tu; chalta ja rah paa jaega

tapta jaa bas, rukna mat, ban jaega tu jwala.

jhuka jo sar, gaya jo ghar, kabhi nahi uth paega

vahi paata hai manzil apni jo chalta jaega

rone vaale ko na kandha, aur na maut baad kaandha hai

paani me daak gehri uski, tale me jalti jwala

mauj na uski, mauji lekin vo, taak raha hai sapno ko

naa umeed aur na puch, kaun kahe ab apno ko

mandir, masjid aag laga do, nahi rahe ab kaam ke

khud kare ab raksha khud ki, khud khuda aur jwala

khoj me raahi, chalta akela, ghum raha hai banjara

milte raah me jo apne, bhulta jaata awaara

puche koi gali ka pata, to keh dena deewano ki

dharam batana insaaniyat; kaum batana jwala.

id me topi pehne vo, aur diwali me jape maala

aadha aadha bat ta roz, phir bhi rehta saara saara

kar nishchay, utha kamaan ab, manzil pa jaega

barbaad karata hindu muslim, aabad karati jwala

Leave a comment