Teri wafa me daga thi jaan-e-jaan
Kyu ki agar kaatil zamaana tha
To bhi ishq to nibhana tha
Agar nibhaati to ye bagairat zamana na hota
Aur tere aashiq ka pata maikhana na hota
Teri wafa me daga thi jaan-e-jaan.
Kyu ki agar ishq ka paimana tha
To abba kya kahenge to bahana tha
Abba se bakhuda hum lad jaate
Teri chahat me jitne khanjar khaane padte kha jaate
Par khanjar aur marham tu hi thi
Aur mere andar se jo nikli vo rooh hi thi
Kaanp utha tha jag saara
Ki ab iss murde ki laash ke saath
Iska dhadakta dil bhi to uthana tha
Teri wafa me daga thi…